Cook with Samey Sisters

Enjoy new and unique recipes with the Samey Sisters from all over the world!


Cook with Samey Sisters

bhot dinon ki baat hai
fiza ko yad bhi nahi
ye bat aaj ki nahi
bhot dinon ki baat hai

shabab par bahaar thi
fiza bhi kush-gawar thi
na jane kyun machal pada

main apne ghar se chal pada
kisi ne mujh ko rok kar
badi ada se tok kar
kahaa tha laut aiye
meri qasam na jaaiye

par mujhe khabar na thi
mahool par nazar na thi
na jane kyun machal pada
main apne ghar se chal padaa

main shahar se phir aa gaya
khayal tha ke pa gaya
use jo mujhse dur thi

magar meri zarur thi
aur ik haseen shaam ko
main chal pada salaam ko
gali ka rang dekh kar

nai tarang dekh kar
mujhe badi khushi hui

main kuch isi khushi men thaa
kisi ne jhank kar kaha
paraye ghar se jaiye
meri qasam na aiye

wahi hasin shaam hai
bahaar jis kaa naam hai
chalaa hun ghar ko chodakar

na jaane jaaunga kidhar
koi nahin jo tok kar
koi nahin jo rok kar

kahe ke laut aaiye
meri qasam na jaiye.

9 months ago | [YT] | 4

Cook with Samey Sisters

Itrati Dhoop
-----------
Kahain dour jab din dhal jai
Saanj ki dolhan badan choraye chuke se aye ☺️
Hmmm, Aj kal kay khubsurat din chamkati dhamakti itrati hoi Dhoob yahan sab ko shokh-o- chanchal bana deti hai sab k dil bachay ban jatay hain bahir dhop may nikal janay ka ji chahta hai.. apnay saye par apnay qadam rakhnay ka ji chata hai....Wo jo jagjit singh bol gaye hain na...
"Karhi dhop may apnay ghar se niklan wo churiya wo bulbul, wo titli pakarna"" 😍
Cheray pe khushi ki khubsurati a jati hai, apni dhonn may rehta hai ye dil. Garmi ki dhop kuch aesa asar deti hain jesay shafaaf kaghaz.. jesay jummay k din admiyon ka soofaid pakiza kurta shalwar on ka mehakta wajod, dil fareeb khuhboein bikhri jati hain
Is hi dhop ki zaat se hai roonaq e tamaam, is hi k dam se hai ye bheer ye bahar

9 months ago (edited) | [YT] | 15

Cook with Samey Sisters

Kabhi kabhi souchti hon zindagi se kitnay zarori log achanak se chalay jatay hain.. 😭 Ammi abbo raaghib or bohat saray wo log jo bas chalay gai... barsa baras guzar gai on ko dekhna to kya sonna bhi namomkin ban jata hai. Hmmmm
Kahann gain wo pyr ki batein .

10 months ago (edited) | [YT] | 8

Cook with Samey Sisters

Arayyyyyy Mubarak sab ko Chand nikal ayaaa... kallll eid haiii yappiiiii

10 months ago | [YT] | 7

Cook with Samey Sisters

Feel enjoying and happy .

11 months ago | [YT] | 7

Cook with Samey Sisters

Thanks everyone today we achieve up to 200 subscribers πŸ˜€

11 months ago | [YT] | 14

Cook with Samey Sisters

Aap sab ka bohat shukrya ! .. Thank you all for our first one hundred subscribers

1 year ago | [YT] | 13