SMARTYAYES [MOTIVATION]

Is duniya mein har dil kisi na kisi toote hue lamhe se guzarta hai…
Lekin har tooti hui raat ke baad Allah subah zaroor deta hai.
Yahi yaqeeni paighaam hai is channel ka.

Yahaan aapko milega har roz ek nayi "Daily Niyat" — ek chhoti si yaad, ek gehra lafz, jo aapki zindagi ki soch badal de.
Qur'an aur Hadith ki roshni mein, hum aapke dil tak woh baat pahuchaate hain jo sirf dimaag nahi, imaan tak jaaye.
Hamari koshish hai ke aap sirf suno nahi… mehsoos bhi karo.
Taa ke aap apni niyat, apna rasta aur apna rab paayein.

Agar aapko kabhi laga ho ke aap akelay ho...
To yah channel yaad dilayega:
"Tumhara Allah tumhare sabse kareeb hai." (Qur’an 2:186)

Join karo, comment karo, share karo — kyunki ho sakta hai aapka ek share kisi ki zindagi badal de.